her galti ki koi na koi saza hoti hai
zindgi me jo v hota hai uski koi na koi wajah hoti hai..
maa kehti thi jo bhi hota hai uske pichhe ek achhai hoti hai
Par uska meri duniya se jana mereliye Kya achhai lati hai
Mana uska meri duniya se jana mujhe girte sambhalte uske bina chalna sikhati hai,
grihast jiban, duniya dari se lekar logo ki sachhai dikhati hai
Uski sikhai baat uska pyaar mujhe hasati hai
Par uske Jane k baad uski yaad mujhe rulati hai
Uske bina mera koi mol nahi uski kami mujhe ye jatate hai
Roop rang gun aur sanskar me uski parchai hu ye duniya mujhe batati hai
Uski parchai hu sayad isliye housla, sehansakti aur dusro ki galtiyo ko bhul kar maaf karne ki khyamta rakhti hu
kyuki maaf karna v to mujhe wahi sikhati hai....