How i found my lost friendship🎼🎸

‘’waqt bhi kya ajeeb cheez hai ,or ye gali to aaj bhi waise hi hai ‘’ dheeme kadmo ko agey badhate hue main khud se hi baate kar rha tha

Muzaffarnagar ki wahi tang gali , ek dusre k peeche bhaagte hue bacche, or phir wahi neem ka ped !!Jaise mjhse guzre hue waqt ka hisaab mang rha ho …… maine us ped se nazre churana chaha to mjhe theek us ke samne wale ghar ki darwaze ne mjhe rok diya ….yhi meri manzil thi …

Himmat jutakar maine us darwaze ko khatkhatya to andar se awaz ayi

Kon ??

Mai jawab nhi de paaya

Phir awaz ayi

Kon hai ??? itna kehkar darwaza khulaor maine bola

Assalamualykum anuty !! apne mjhe pehchana ??

Ye sunte hi wo khush ho gyi orwo has padi (jaise cheh saal baad bhi unhe ye yakeen tha k mai isi dobara ayunga )

Bata tum to bht badal gye ho !! unki yeh baat sunkar mai sochne lga …haabadal to gya tha mai ab mai duniya ki nazron me ek settledinsaan tha , ab mere kapde designer dikhte the or luxuries thi…

Aunty ne mera dhyan hataya or mjheandar bulaya ..

Whi aangan tha or whi pedmjhe taktaki lagaye dekh rhe the jaise mjhsemere chale jaane ki shikayat kat rhe ho

Aunty ne chai ka cup meri or badhaya to darwaze pa aahat hui …darwaza khula to hmare samne ekchehra tha ,ye chehra ajnabee to nhi tha lekn iske sath judi huiyaade bht kuch khushnuma bhi nhi thi ,

Ayaan darwaze par tha ….

Yeh wahi Ayaan tha jiski dosti k sath maine 4 saal tak apni zindagi bitayi thi ,mai uski har pareshani me uske sath tha ,jab wo 12 pass nhi karpaya tha tab maine hi decide kiya tha k mai bhi ek saal tak kuch nhi karunga ormaine pure ek saal tak use physics pdadaya tha ….kaise bhul sakta hai pwo ye sab maine apna pura saal arhaan ki padhai ko de diya tha or jab result aaya to uske top karne par mai use zyada khush tha ..or agle din jab maine use call kiya tha to lafz mjhe aaj bhi yaadahi

usne mjhe kha tha ,

Mai dehradoon agya hu !!

Ab yhi pe admission le liya

hai ab mjhe agey badhna hai !!

ye kehkar usne fon raakh diya …use kai baar fon karne par andaaza hua k ab use meridosti ki zaroorat nhi hai ….

Kitni bekaar mehsoos hui thi zindagi us waqt mjhe……. shayad jab koi rishton k sath khelta hai to aisa hi lagta hai …

Maine apna dhyan hataya to ayan mere kareeb akar khada ho gya hai …jaise mjhse kuch bolna chahta ho …lekn wo mjhse nazree nhi mila paaya or apne room ki tarf badh gya …

Arhaan k jaane k bad maine apna sheher muzaffarnagar chorkar delhi ka rukh karliya tha …zindagi chalti rhi ,maine apne aap ko apni padhai me jhonk diya tha thode din bad main apni job me bhi settled ho gya tha …kabhi Ayaan ki yaad aaati to yeh sochkar dil ko tasalli de deta tha ki aj mera class or status Ayaank status se zyda bda hai ….lekin shayad mai bhul gya tha k dosti me status or class to matter hi nhi karta …or meri taraf se to meri dosti sachi hi thi …yhi sab soch kar mai aajcheh saal baad phir se isi chukhat par ane ko majboor ho gya tha ….

Aunty ne mjhe btaya k arhaan ne bachelors me admission to le liya tha lekn wo kayi saalo tak use pass nhi karpaya harkar usne pdhai chor di….or usne jo tmhare sath kiya wo uske liye apne aap ko maaf nhi karpaya hai …itne mei mera phone ring hua or mere driver ne mjhe btaya k mausam kharab ho rha hai mjhe jaldi nikalna chahiye ..

Maine aunty to goodbye bolkar agey badha to meri nazar Ayaan pe phir se pdi..wo aangan me khada tha jaise mjhse kuch kehna chata ho, mai uske paasgya to usne mjhe gale laga liya or bola ‘’sorry bhai …mjhe maaaf karde ‘’mai use koi jawab nhi de paaya

Bearish tez hone lgi or maine baarish k beech uski aankhon se uski galtiyon ke aanson nikalte hue dekhe …

Waqt ne use uski galti ka ehsaaas kara diya tha ….or maine bina kuch kahe use maaf kardiya tha ..

Aaj cheh saal k baad , ek baar phir se hmara status same ho chukka tha ….or mjhe mera dost wapas mil chuka tha ….jaate hue hamne usi aangan me baithkar phle ki tarh chai pee …or maine use apni shaadi k liye invite kiya jo k agle week hone wali thi ………


‘’Friendship is a beautiful thing , always try to flourish it ‘’

  Never miss a story from us, get weekly updates in your inbox.